Wednesday, March 7, 2012

Daane Daane Pe

So it was final year, examinations, boring subject, excellent intoxication, excellent mood, frustration!! Everything was right. And then this poem came out!!





Jo kuchh tere naam likha hai, likha daane daane mein,
Woh to tujhe milega, chaahe rakha ho tehkhaane mein.

Tune ik fariyaad lagayi, usne hafta bhar maanga,
Kitne hafte aur lagenge, uss hafte ke aane mein?

Ek diye ki zidd hai aandhi mein bhi jalte rehne ki,
Hamdardi ho toh, hissedaari karo bachane mein.

Aansu aaye dekh toot-ta chhappar, deewaron dar ko,
Aakhir ghar tha barso lag jate hain ussey banane mein.

Kuchh to socho roz wahin kyo jaakar marna hota hai,
Shaam ki kuchh to saazish hogi, suraj tumhe dubaane mein.

Jaakar toofano se kehdo, jitna chaahe tez chalein,
Kashti ko abhyaas ho gaya lehron se lad jaane mein.

Koun muhabbat ke chakkar mein pade, buri shai hai yaaron,
Mere dost pade the, maare gaye bade paimane mein!

2 comments:

Jasmine Luthra said...

It's really very nice! Good work Ankit! :)

Rishabh Jain said...

Ladke!! i feel like last line have taught u something, is it?